Lifi is the future of internet.



Hello friends, aajkal sabhi ke liye internet bahut jaroori ho gaya hai.Internet ka use hum log bahut se tariko se karte hai jaise data recharge karate hai, dongle ka use karte hai, broadband ka use karte hai aur wi-fi ka use karte hai isme sabse fast speed wi-fi ki hoti hai.WiFi ka use sbhi nahi kar paate hai but sabse fast speed wi-fi ki hoti hai.Ab Mai apko bataunga ki ek aisi device par research chal rahi hai jiski speed WiFi se  250times fast hai iska matlab ye hai ki future mein hume ek aisi device milegi jisse hum bahut hi high speed internet use kar sakte hai.Ab mai device ka ka name bata deta hun, friends device ka name LiFi hai jiski ful form LIGHT FIDELITY hai.Ab mai iski kuch properties batata hun.

INTRODUCTION- Li-Fi kya hai

LIGHT FIDELITY ek bidirectional, high speed, aur fully networked wireless communication hai jo ki bilkul WiFi ke tarah hai.Bas iski kuch properties WiFi se different hai jo ki bahut jyada hai.LiFi ki saari properties wifi se kaafi acchi hai.Li-Fi ka invention sabse pehle HARALD HASS ne ki.LiFi visible communication ka ek form hai.Visible ka use isliye kiya gaya hai kyunki isme LED ka use karte hai.LED ka matlab Light Emitting Diode hota hai generally sabhi log apne ghar mein led ka use karte hai.Led se light aati hai jo hume dikhti hai isiliye hum visible word ka use karte hai.Ab mai LiFi aur LED ka relation batata hun, friends LED mein jab POWER DRIVERS laga dete hai to hum light ke saath high speed internet access kar sakte hai matla chala sakte hai.

HARALD HASS- Harald Hass edinburgh university ke  mobile communication department ke german professor hai.   

FACILITY- Iski properties kya hai


LiFi ki saari properties kaafi acchi hai unme se kuch properties apko bata deta hu iski pehli property ROOMING hai iska matlab hai ki iska use hum keval ek room mein hi kar sakte hai iska use hum room ke bahar nahi kar sakte hai iska reason ye hai ki led ki light room ke bahar nahi ja sakti hai.jab hum light ke niche honge ya us room mein honge jisme led lagi hai tabhi hum internet ka use kar sakte hai.agar hum ek light spot ke niche internet chala rahe hai aur achanak se dusre light spot par chale jaate hai to first ligh spot spne aap band ho jayega.
Iski dusri Property MULTIPLE ACCESS ki hai iska matlab ye hai ki ek saath kayi log internet ka use kar sakte hai ek hi light spot se.But iska use wahi kar sakta hai jiske paas apki permission hogi iske alawa koi bhi apka internet use nahi kar sakta hai.Aur kisi ko pata bhi nahi chal sakta hai ki aap internet ka use kar rahe hai.
Agar aap iski jagah Wi-Fi ka use karte hai to uska use bahar ke person bhi kar sakte hai aur unhe aasani se pata chal sakta hai ki aap wi-fi ka use kar sakte hai.aur apki permission ke bina koi bhi internet ka use kar sakta hia agar aap ne security nahi lagayi hai.

HIDDEN FEATURES OF WINDOWS

HIGH SPEED - speed kya hai

Friends LiFi ki speed 250times jyada fast hai WiFi se iska matlab hai ki aap ki aap 250GB per second use kar sakte hai agar aapne 18 movie ek downloading par lagayi hai to wo keval 1

SECURITY - Security kaisi hai
     
LiFi ki security kaafi acchi hai kyunki lifi ka use hum led ke form karte hai aur led ki light ek room ke bahar nahi ja  sakti hai iska use wahi kar sakta hai jise iske baare mein pata hoga iske alawa aur koi bhi iska use nahi kar sakta hai aur na hi ise koi hack kar sakta hai.
Jabki agar wifi ka use karte hai to uski security kaafi acchi nahi hai kyunki aap ke alawa aur koi bhi nahi jaan sakta hai ki aap wifi ka use kar rahe hai aur usme securty nahi lagi hai to koi bhi use kar sakta hai.aur isme hacking ka bhi khatra hota hai.

DATA DENSITY - Downloading kaisi hai

Agar hum wireless router ka use karte hai internet ke liye to uske signal sabhi direction mein jaate hai aur jo signal paas nahi hot hai wo humare liye useless hote hai aur isme data density bahut kam hoti hai but LiFi mein aisa nahi hai iska use hum ek specific point par karte hai aur iski data density bhi kaafi high hoti hai iska matlab hum kum space mein jyada data access kar sakte hai.