Tips for best self study.



 Hello students maine  previous article mein discuss kiya tha ki ek student self study ko sufficient time kyun nahi de pata hai aur uske kuch reasons bhi maine share kiye the saare reasons to nahi share kiye the but jo reasons common the wo hi maine share kiye the jise aap article se padh sakte hai.Ab mai baat karunga ki aap six hours tak kaise padh sakte hai lagataar kuch aise students hote hai jinhe koi kah deta hai ki six hours padho acche marks aayeinge aur wo jabardasti book open karke baithe rehte hai  aur kuch jyada nahi padh paate hai self study ka matlab ye nahi hota hai ki six hours padhna hai to padhna hai chahe kuch bhi samajh mein na aaye ye keval time waist karna hota hai isse unko koi benefit nahi hota hai.abhi mai selh study ka matlab bataunga ki self study kise kehte hai aur saath mein ye bhi bataunga ki self study ko kitna time sena chahiye.kuch aise students hote hai jinhe lagta hai ki self study se kuch nahi hota hai ye unki sabse badi galti hoti hai jisne acche se apna pura focus self study par diya hai wo hamesha acche marks paata hai.aur unhe kabhi koi koi pareshaani nahi hoti hai.Ab kuch aise students bhi hote hai jo hamesha isiliye confuse rehte hai ki self study kitne time tak karna chahiye unhe yahi nahi pata hota hai ki self study ka koi fix time nahi hai.aaj mai aaj self study ke baare mein sab clear karunga aise students ke liye.

 What is the Self study ?




Students ab mai ye batata hun ki self study kya hoti hai aur kise kehte hai.Sabse pehle mai ye clear karna chahte hun ki self study ki koi definition nahi hoti hai.Self study ka school period se bhi koi matlab nahi hoti hai iska matlab ye hai ki jitne time aap school mein padhte hai uska self study se koi relation nahi hota hai.Self study ka matlab hota hai ki aap apne aap kitne time tak padhte hai apne aap padhne ka matlab ye hai ki jab aap padhte hai koi bhi help karne ke liye waha na ho.aur aap jitne time bhi padhe utne time aapka saara focus bas padhai mein ho.aur aap kisi bhi topic ko deeply padhe har ek problem ko solve karien na ki use dekh kar solve kare.Self study ka clear matlab hota hai ki aap khud se kitna padhte hai kitne time tak.Sabse jaroori baat ye hai ki self study kabhi group mein nahi hoti hai self study ka group study se koi bhi relation nahi hai.self study keval akele mein  hoti hai jisse apka mind hi keva lage aur  apko ye pata chale ki aap main kya kami hai aur jise aap khatam kar sake.

SELF STUDY KO KITNA TIME DENA CHAHIYE - TIME FOR SELF STUDY ?





Ab mai apko ye bata deta hun ki self study ko kitna time de aur iske baad mai apko bata dunga ki self study kaise kare abhi to ye batata hun ki self study ko kitna time de.Agar koi bhi ye sochta hai ki self study ka time fix hai matlab kisi ne self study ke liye time fix kar diya to keval utne time hi padhna hai to ye baat bilkul galat hai aur aisa sochna bhi bilkul galat hai.Aisa nahi hota hai ki self study ka time fix hota hai self study aap kitni der kar sakte hai ye to aap par depend karta hai na ki kisi ke batane par.aap apne according hi self study kare na ki dusro ke according agar aap chahe to kisi ki help le sakte hai apna time manage karne mein aisa isliye kunki kuch aise studens hote hai jo apna time manage karne mein hi confuse rehte hai.self study ekdum se nahi ki jaati hai iski habbit banayi jaati hai iske liye apko daily padhna hoga timely tabhi apki habbit acchi ho payegi mai apko batata hun ki aap apni habbit kaise banaye iske liye aap pehle din keval twenty minutes tak self study kare lekin lagataar aur har din five se ten minutes badhate jaaye dheere dheere apki habbit pad jayegi aur last moment par jyada mehnat nahi karni padegi.

SELF STUDY KAISE KARE - HOW I DO SELF STUDY ?




Ab mai apko batata hun ki app self study kaise kare jisse apka time manage ho paye.School se aane ke baad aap apna pura homework complete kar le agar aap ne coaching join ki hai to coaching chale jaaye but mai ek advise dunga  ki aap apni saari classes ek hi coaching centre se join kare kyunki agar aap alag alag coaching join karienge to apka time kafi waist hoga aur thakan bhi kaafi lagegi lisse aap apni self sdy ko sufficient time nahi de paayeinge.coaching se aane ke baad ekdum se mat padhai start kare kuch rest kar le uske baad hi apni padhai start kare rest ten to twenty minutes ka hona chahiye na ki ek ghante ka rest karne ke baad aap apni padhai start kare aur apna target set rakhe aur jab tak wo pura na ho jaye tab tak na uthe.is tarah aap apni padhai ko sufficient time de sakte hai.

IMPORTANCE OF SELF STUDY

Ab mai aapko self study ki importance ke baare mein batata hun agar kisi student mein self study ki starting se habit hai to usko kabhi bhi apne future mein koi problem nahi hogi aur na hi usko kisi coaching ki need hogi self study ke through aap kisi bhi subject mein kaafi knowledge pa sakte hai agar serious self study karte hai.self study se aapke mind ki sochne aur samjhne ki power badhti hai aur aapki concentrate karne ki power bhi increase hoti hai.agar aap kisi subject mein weak hai to aap usme brilliant ho sakte hai agar aap usko proper time dete hai aur usko mann se padhte hai isi tarah se aap kisi bhi subject mein brilliant ho sakte hai proper self study se.

WHY A STUDENT DOES NOT GIVE SUFFICIENT TIME TO SELF STUDY ?


Hello students meri ye post specialy 12th board ke students ke liye hai . mai self-study se related kuch baat karunga aaj ke bahut saare students ki main problam hai ki wo apne self-study ko sufficient time nahi de paate hai self -study ke liye sabse jaroori hai ki aap ki 11th ki tayari kaisi hai students aapko 12th class mein bahut hi serious study ki jaroorat hai agar aap good marks lana  chahte hai toh.Students mostly course 11th mein hi complete ho jata hai ye real fact hai ki jis student ne 11th class mein apni puri mehnat ki hai padhai karne mein to wo 12th class mein generally hone wali problem ''dipression'' se safe  rehta hai kyuki uska basic concept clear hota hai aur wo 12th class mein smoothly apni preparation ko continue rakhta hai ab aise students ki baat karte hai jinhone 11th class me jyada mehnat to kiya par wo sufficient nahi tha ki unki aage ki preparation acche se ho sake aur kuch aise  student hote  hai jo pure year  bilkul mehnat nahi karte hai aur kevel last me padhte hai.Bahut se reason  hai ki wo apni study ko suufficient time nahi de paate hai. kuch reasons mai apko batata hun.

                      REASON-1                 

 Jaise kisi ka over confident hona iska matlab hai ki aise student sochte hai ki arey 11th mein mauj masti karte hai matlab 11th ko REST YEAR bana dete hai ausr sochte hai ki 12th mein puri study kar lenge lekin aisa nahi hota hai balki ye hota hai ki na to 11th ka course acche se cover kar paate hai aur na hi 12th ki regular tayari kar paate hai finally marks kam ho jaate hai.

  SOLUTION   

Students iska ek hi solution hai ki aap 11th me ragular studey kare jo ki exam tak continue rehni chahiye tabhi aap acche marks la sakte hai.

                     REASON-2                

Kuch aise student hote hai jinhe coaching se hi time nahi milta hai to wo pure year coaching hi karte rehte hai unke paas self study ka time hi nahi rehta hai (ye 100% sach hai ki bina self -study ke aap acche marks nahi la sakte hai ) Aise bacche last ke kuch months pehle confuse ho jaate hai ki ab kya kare aur iska effect unke results par padta hai aur finally unke marks automatically kam ho jata hai
                                                                                                             coaching mein padhne wala har student aisa nahi hota hai ye baat aise student ki ho rahi hai jo coaching ko formality ki tarah samajhte hai unka  kaam hota hai coaching jane se aur aane se padhai se koi matlab nahi hota hai.

  SOLUTION  

Students mai coaching ko galat nahi kah raha hun ki coaching ka matlab time waist mera kehne ka matlab hai ki aap ko keval aise subject ki coaching karni chahiye jisme aap weak ho coaching ka matlab ye nahi hota hai ki aap sabhi 5 subject ki coaching kare aisa karne se aapka time bachega jise aap apni self study ko bhi time de sakenge aur apke marks acche aayenge.

                  REASON-3                  

Kuch aise student hote hai jo pure saal keval ek hi subject ke piche padey rehte hai iska matlab wo keval ek hi subject ko importance deta hai aur other subject ko ignore karta hai aisa karne se uske aur subjects mein acche marks nahi aate hai.

  SOLUTION   

Isme do tarah ke student hote hai pehle wo jo aise subject ko importance dete hai jisme unhe jyada aata hai ya dusre aise student hote hai jo aise subject ko importance dete hai jisme wo jyada kamjor hai but aisa karna bilkul galat hai iska sidha asar unke results par padta hai.
                                                                                             Acche marks laane ke liye sabhi subjects ko equal impoirtance deni hogi tabhji aap exam mein acche marks la sakenge jisme aap weak hai usko aapko jyada time dena hoga.

                 REASON-4                   

Kuch aise students hoti hai jo na to 11th mein acche se padhte hai or na hi 12th main bas unka keval ek hi purpous hota hai aur wo keval full time mauj masti karna , apna precious time social sites mein bitana.

 SOLUTION  

Iska keval ek hi solution hai ki apni company(Sangati) ko acchi rakhe aur teachers ki baat sune aur apni padhai ko acche se continue rakhe.

                                                                 CONCLUSION                            

Students maine apko jitni bhi baate batayi hai unhe short mein mai clear karta hun mera pura focus isme hai ki aap apni padhai ko regular rakhe iska matlab hai ki apni self study ko sufficient time de.
                                                                                             Students mauj masti to puri life chalti rahegi aur social sites par time waist na karke wahi time apni study ko de kunki social sites ka use aap apni life mein kabhi kar sakte hai agar ek baar acche marks aa jate haiu to sab accha hai lekin agar kharab marks aate hai to bahut galat hoga.isiliye sab kuch chod kar apna pura dhyan apnui padhai par de.

NOTE- STUDENTS YE ARTICLE   KA KEVAL YAHI PURPOSE THA KI JO STUDENTS SELF STUDY KO IMPORTANCE NAHI DETE HAI YA KISI REASON KI VAJAH SE SELF STUDY NAHI KAR PAATE HAI UNKE LIYE KUCH HELP HO JAYE AUR WO APNI SELF STUDY KO PROPERLY KAR SAKE AUR UNKI STUDY MEIN KOI PROBLEM NA HO.AGAR AAP SABHI SAHI SE APNI SELF STUDY KARTE HAI TO AAPKO EXTRA COACHING KI BHI NEED NAHI PADEGI AUR AAP APNI STUDY KO APNE AAP HI MANAGE KAR SAKTE HAI.SO STUDENTS APNE TIME KO ACCHE SE MANAGE KARE AUR APNI SELF STUDY PAR PURA CONCENTRATE KARE.AUR SAATH MEIN YE BHI DHYAN DE KI AAP KA TIME WAIST NA HO AUR JITNE BHI ATTRACTION HAI UNSE JYADA ATTRACT NA HO KEVAL UTNA ATTRACT HO JISSE AAPKI STUDY MEIN KOI PROBLEM NA AAYE.
                                                                                                                     ALL THE BEST..

AGAR AAPKO MERA ARTICLE USEFUL LAGA HO TO PLEASE COMMENT KARE AGAR KUCH MISTAKES HO TO PLEASE BATAYE JISSE MAI UNKO SAHI KAR SAKU.

ThAnK YoU