Proper definition of learning


Hello friends, ye article maine  human ki ek special property ke baare mein likha hai wo property hai learning isko main special isiliye kaha ki Learning Ki property hi kisi ko kaha se kaha pahucha deti hai mera matlab life main success dilati hai.Mai sabse pehle aapko ye bata deta hun ki mera learning ka matlab kya hai friends learning ke bhi different types hote hai jaise mai aapko kuch examples deta hun jab hum school life mein hote hai to teacher hume kuch learn karne ke liye deta hai to hum usko learn karte hai chahe ratta maar ke ya samajh kar aur teacher ko sunate hai ye ho gaya first type aur second type mein jab hum koi extra pressure karta hai to hume na chahte hue bhi sikhni padti hai ye to maine aapko kuch common examples diye hai .
     But friends mai aapko ye clear kar deta hun upar jitne bhi maine examples maine bataye unme se kisi mein bhi learning ki real quality nahi thi.Learning ka matlab ye nahi hota hai ki kisi bhi cheez ko jabar dasti yaad kar le ya kisi ke dabao mein aakar.ab mai learning ki real property ke baare main batata hun .Jab bhi hum kisi ko kuch accha karte hue dekhte hai jo aap par kaafi effect daalta hai to aapke mann mein bhi usey karne ka mann karta hai ki hum bhi usey kare.
                                                                   Aur usko karne ke liye try bhi karte hai agar wo easy hota hai to hum turant kar lete hai but agar wo difficult hota hai aisi situation ke liye two types ke person hote hai pehle wo jo kisi bhi situation mein wo work sikh kar usey karte hai chahe wo difficult kitna bhi kyu na ho aur dusre type ke aise log hote hai jo work difficult hone ke kaaran usey chod dete hai ye soch ke ki itni mehnat kaun kare.in examples main mai aapko ye batana chahta hun ki kaam ko karna ya na karna keval kisi ki learning power par depend karta hai ki usme kuch sikhne ke liye kitni power hai.

What is the learning of Learning ?

Mai aapko clear karta hun ki LEARNING ka mean kya hota hai shayad iske baad aapka doubt khatam ho jaaye ya aapko thik se samjh mein aa jaaye maine aapko kuch examples diye hai jisse aapko kuch sikne ko mila hoga ab mai aapko learning ki meaning clear karta hun , ye to sabhi ko pata hai ki learning ki hindi meaning  Sikhna hota hai but aapko is word ki importance pata hai mai aapko batata hun ki is word ki importance kya hoti hai Jaisa ki maine aapko upar bataya hai ki learning ki meaning sikhna hota hai iska matlab keval sikhne se hai Sikhne ka koi time nahi hota hai koi limitation nahi hota hai kisi ka koi pressure nahi hota hai aur iske liye koi age nahi hoti ki aap ek fix age ke baad sikh nah sakte hai.
                                                                                                                               Learning to puri life chalti hai jab hum bacche hote hai tab hume ye sikhaya jata hai ki kisi cheez ko sikhe agar hume wo cheez nahi samajh mein aati hai to hume sikhaya jata hai ki hum us cheez ko kaise sikhe.uske baad jabteenage mein hote hai tab hum ye jaanne lagte hai ki kya hue sikhna chahiye aur kya nahi aur jo work ya kuch bhi hume acche lagte hai hum unhe sikhte hai ekbar mai aapko fir se clear kar deta hun ki LEARNING ki limitation keval school ya college tak nahi rehti hai ye to hum par depend karta hai ki hum apni life mein kya sikhna chhate hai aur kya nahi.
                                 Iske baad hum ek aisi age mein aate hai jaha par na koi college nahi hota hai aur na hi kisi ka koi pressure to idka matlab ye thodo na hai ki aap kuch siikhna hi band kar do kyunki learning to lifetime chalti hai isiliye humesha yahi try kare ki aap kuch na kuch sikhte rahe.

Learning : A Passion


Agar aapko apni life mein kuch kare hai jisse aaapko apne aap par hi proud feel ho to aaapko learning ko passion banana padega isse aap  ek bojh ki tarah na le ki kisi na keh diya ki learning ko ek passion bana lo to aapne bana liya chahe uska benefit ek percent bhi naho isiliye ksi cheez ko sikhne mein enjoy kare isme apne interest point ko find kare jisse aapko enjoy lage ye baat bilkul sahi hai agar aap kisi work ko pur mann se kar rahe hai aur puri tarah se enjoy kar rahe hai to wo work puri tarah se successful hoga fir wo chahe kitna bhi difficult kyu na ho.Isiliye learning ko apna ek jonnon samjhe.

Learn with interest


Ab aapko ek important point batata hun jo bahut important hai wo ye hai ki agar aap kuch sikh rahe hai ya kuch sikhna chahte hai to ye humesha dhyan mein rakhe ki sikne mein aapka mann hai ki nahi ki kisi aur ki vajah se aap sikh rahe hai ya kisi ke pressure mein akar agar aap kuch bhi apne mann se sikh nahi rahe hai to wo aapko bilkul samajh mein nahi aayegi agr aaegi bhi to bahut kam hi samajh mein aayegi.
                                                                                                                      Agar aapko koi kuch sikhne ke liye keh bhi raha hai to pehlel k baar soche ki eo aapke liye thik rahega ki nahi agar rahega to usko interest ke saathe sikhe jisse aap bor bhi nahi hone aur sikhne mein aasani bhi ho jaayegi.

Is article mein maine reality likhi hai aur aapko motivate karne ki koshish ki hai jisse aap mein leasrning power mein increment ho sake.Friends agar aapko mera ye article useful lage to please comment kar aur isse share kare.i hope aapne enjoy kiya ho.Have a nice day.

ThAnK YoU