benefits of social media



HELLO my dear friends, Happy New Year to  you all.Ye mera pehla article hoga jo Social Media se related hoga iss post mein mai social media se related kuch baatien karunga.Aaj ki age mein Social media ek important part ban chuka hai ye bhi kah sakte hai ki social media humari life ka ek part ban chuka hai keval different itna hai ki sab logo ka use karne ka tarike bahut alag hota hai jaise mai aapko example deta hun kuch log social media ka use photo share karne ke liye karte hai, kuch apne friends se chat karne ke liye karte hai aur isi tarah bahut example hai par mai aapko saare to nahi bata sakta keval jo common the unhe maine bata diya.Kuch aise bhi log hai jo social media ke bina rah nahi sakte hai.social media se hum bahut se  kaam kar sakte hai. Social networking site ek aisa platform hai jisse logo ki life ban  jaati hai aur kisi ki kharab bhi ho jaaati hai, kisi ek post se kisi ka bhi career ban jata hai aisi bahut si baatein hai  social media ke baare mein.Social media ke platform alag alag hai jaise facebook, whatsapp an twitter etc jinke use bhi hum alag alag taike se karte hai kuch iska use karte hai kuch iska misuse karte hai misuse ke baare mein abhi baat nahi karunga.So friends mai ab aapko social media ke baare mein kuch baatien points se bataunga.

A Big Sharing platform


Benefits of social media


Maine ye point sabse pehle isiliye diya kyunki social media mein agar sharing nahi hai to phir uski koi importance hi nahi hai jaise bina oxygen ke hum jinda nahi reh sakte hai usi tarah se social media bhi sharing ke bina kuch bhi nahi hai mai aapko ek example deta hun agar sabhi social platforms par one hour ke liye sharing stop kar diya jaaye to aap apneaap hi jaan jaayeinge mujhe describe karne ki jaroorat nahi hai.Ab mai agar sharing ki baat karu to uski bhi apni alag categories hoti hai sabhi ko describe nahi karunga but kuch ka karunga jaise, chating ke liye sabse famous hai facebook aur whatsapp waise facebook whatsapp se jaldi launch hua tha aur facebook whatsapp ki parent company bhi hai lekin dono platform kaafi famous hai isme log chating ke saath pic/video sharing bhi aap aasani se ka sakte hai.Second number main mai baat karunga youtube ki shayad hi koi aisa hoga jisne youtube ka naam na suna ho youtube video sharing ka sabse bada platform hai bas itna kaafi hai maine common platforms ke baare  mein bataya hai.

Career Builder


Benefits of social media



Social media ki dusri sabse badi property ye hai ki social media platforms career maker bhi hote hai kuch platforms ke hi help se kisi ka career ban jata hai agar kisi ke mind mein ye chal raha hai ki social media kisi  ka career make kaise kar sakta hai don't worry mai iske baare mein aapko bataunga but usse pehle mai aapko kuch online career ke baare mein batata hun jisse aapko samajhne mein aaasani hogi.Online career different types se make hota hai for example Blog ke through kisi ka career ban jata hai aur kisi ka youtube ke through keval different itna hai ki blog par article publish kiye jaate hai aur youube par videos share kiye jaate hai.Ab mai inke liye social media ka importance batata hun agar social media platforms jaise facebook,google pluse na ho to inke liye kaafi difficulty ho sakti hai agar article/video share nahi hoga to traffic nahi badhega aur na hi popularity hogi so friends social media ke bina kaafi difficulty hogi.

Open Educational Resource


Benefits of social media


Ye point mai isiliye share kar raha hun kyunki aaj bhi kuch aise log hai jo social media ko kharab hi samjhte hai but reality main aisa hota nahi hai wo kuch aise incident dekh lete hai aur puri life usko hi batate rehte hai lekin ekbaar khud try nahi karte hai so mera kehne ka pura matlab ye hai jab tak khud experience na kar lo tab tak aap result nahi de sakte ho.Ye baat bilkul sahi hai social media ka kuch misuse bhi karte hai lekin ye to unki mentality hoti hai jise koi nahi change kar sakta hai but friends agar hum social media ke use dekhe to wo bahut bada hai social media ke through  hume bahut si knowledge milti hai aaj kal social media par aise educational goups ban gaye hai jinke through hume kaafi knowledge mil sakti hai.isiliye social media ka keval kharab part na dekh kar uske acche part ko dekhna chahiye.