Interesting and hidden features of windows.

 Hello friends, I am Shivam a Indian blogger.Friends Writing is my hobby.Friends iss blog ko Maine Computer, Mobile, Blog aur Maths, Chemistry(12 standard) se related post Karne ke liye shuru kiya hai Friends ye meri first post hai Jo ki Android mobile se related hai agar useful ho to isse share jaroor kare.Fiends muhje dusro ke liye likhna pasand hai ek tarah se ye mera passion hai.Chaliye ab topic par aate hai mai aap ko batane wala hun ki Android mobile mien koi bhi video/picture kaise hide karte hai bina  kisi app ki help se.

Shayad aapko lag raha hoga ki ye nhi ho sakta hai but mera believe kariye ki ye possible hai thik hai mai aapko trick bata deta hun tab believe kijiyega iske liye aapke pass do cheeje hona bahut jaruri hai sab se pehle aapke pass android phone hona chaheye aur hide karne ki liye aap ki paas kuch material hona chahiye_.
  Android phone
 Material (video/pic)  hide karne ke liye.

Ab mai  aapko batata hun ki kaise iss trick ko use kartey hai iske liye mai saare steps ko niche likh raha hun unhe aap follow kare.

STEP-1

Sabse pehle aapko apne mobile ki File Manager mein  jana hai.

                                                       

Uske baad aapko Phone ya SD card storage mein jana hai jisme aapki hide karne wali video ya pic hai.

 

  Phir aapko uss Folder mein jana hai jaha per aapki pic ya video save hai.



STEP-2

  Iske baad aapko apni Video ya Pic ko select karke video ko cut karna hai aur folder se bahar main menu mein aana hai


  Bahar aane ke baad aapko menu mein sabse uper jana hai jaha per Android naam ka ek folder hoga       usey open karna hai


  open karne per do Sub folder dikhenge ( 1-data , 2-obb)  jisme keval  Data ka use hoga ab data folder ko kholna hai


  Last step mein aapko cut ki hui video ko kise ek folder mein paste karna hai ab aapki video ya pic hide ho chuki hai


             ab apni  gallery/video player mein jakar dekhe aapki pic/video show nahi ho rahi hogi.

                                                     SECOND TRICK FOR HIDE                    

 To iss tarah se aap aasani se apni private video ya pic ko ide kar sakte hai.Friends Pehli trick  lagbhag sabhi android mobile mein kaam karti hai par mai aapko dusri tick bhi abhi bata deta hun iss trick se bhi aap apn private video ya pic ko hide kar sakte hai ye wali trick mein aapko cut paste karne ki jaroorat nahi padti hai bus aapko us folder mein jana hai jaha par aapki video ya pic saved hai.Chaliye bina time waist kiye mai apko iss trick ke baare mein bata deta hun so friends follow my steps_

STEP-1

➤ Friends aapko folder mein jana hai jaha par apki video saved hai jiske saare steps mai upar hi bata chuka hun
➤ Fir se apko video/pic ko select karna hai par iss baar apko cut paste nahi karna hai balki select karne ke baad Rename par click karna hai.

STEP-2

➤ Rename karne ke baad apko sirf last mein point ke baad Jo bhi likha hai usse Remove karke kuch bhi likhna hai ya to kuch bhi nahi likhna hai aur save kar dena hai.
➤ save karne par ek warning message aayega darne ki koi jaroorat nahi hai bas OK par click kar dijiye aur apki video ab bahar show nahi hogi apki permission ke bina koi bhi nahi jaan paayega.
➤ Agar apko wapas se wahi chahiye ho to phir se pehle wale ki tarah likh de or ok kar de aur phir se wapas aa jayega.