ajkal ke modern age mein har koi modern hona chahta hai har koi chahta hai ki uske paas ek smartphone ho, smart looking ho aur bhi bahut kuch but ye janna sabse important hai ki uski personality kaisi hai iske liye mai aapko ek example deta hun jaise koi bhi person jiske paas wo sab kuch hai jo wo chahta hai kisi important person se milne jata hai aur usse aise baat karta hai ki jaise wo kisi servant se baat kar raha hai ya apni personality ke according baat nahi karta hai to uske paas chahe kuch bhi ho saamne wala person usko like nahi karega.
Uska saara impression wahi par kharab ho jaayega uske baad wo thik bhi ho jaaye par saamne wale ko yahi lagega ki wo jaisa pehle tha ab bhi waisa hi hai ye baat maine aapko isliye batayi hai kyunki ye article bhi maine personality development se related likhi hai mai aapko ye bataunga ki aap kisi ko impress kaise kar sakte hai kyunki aapka impression aapki personality ka ek important part hai ek impression hi jo aapki personality ko best bana sakte hai aur worst bana sakta hai.
Mai isse pehle kuch articles prsonality development par likh shuka hun jise aap mere blog pa jakar padh sakte hai but mai uski link niche mention kar dunga ab mai aapko kuch points batata hun jise follow karke aap apne impression ko aur bhi accha kar sakte hai.
Always remember: First impression is last impression
Mai aapko sabse pehle ye batana chahte hun ki aapka kisi ke bhi saamne jo phla impression psdea wo hi aapka last impression hoga isiliye humesha yahi try kare ki jo aapka pehla impression ho wo itna accha ho ki saamne wala pehle baar mein aapse itna impress ho jaaye ki aapse jab bhi mile wo khus ho jaye mai ek baat clear kar dena chahta hun ki mera pehla impression accha hone se ye matlab nahi hai ki baad ke impression bilkul kharab ho to is baat ko acche se samjh le ki aapka kisi ko kaise impress karte hai ye aap par depend karta hai.
isk liye mai aapko ek example bata deta hun jaise koi ek ladka hi wo kisi ladki se first time milne gaya hai aur ladke ke paas saare comforts hai jaise acchi car hai expensive phone hai but ladka ladki ko jyada oversmartness dikhata hai ya acch se baat nahi karta hai to uska impression ladki ke saamne kharab ho jata hai aur usko ye lagne lagata hai wo waisa hi rahega chahe ladka thik bhale hi kyun na ho jaaye.
Don't Be Oversmart
Ye bahut hi common baat hai ki kabhi kabhi log kisi ko impress karne ke liye oversmart banne lagte hai aur unki insult hoti hai agar aap jaante ho ki aap se wo work nahi ho paayega jo aap karna chahte ho to phir aapko wo kaam karna hi nahi chahiye jisse aap na kar pao to aapki insult ho kyunki chance keval ek baar hi nahi milta hai next chance mein impress kar dena isliye insult hone se accha hai ki aap chup hi rahe.
Work On your Body Language
Ab mai aapko bosy language ke baare main batata hun ki body language ko kaise accha kar sakte hai agar kisi ko ye nahi pata hai ki body language kya hota hai to mai pehle ye bata deta hun ki body language kya hota hai humare bolne se pata chal jata hai ki humari body language kya hai usi tarah humari body language se humari personality ke baare mein pata chalta hai ki humari personality kaisi hai.Hum kisi se baat karte hai to humari body kaisi rehti hai hum, hum koi project prsent karte hai to humari body kaisi rehti hai ye sab body language mein aata hai i hope ab aap ye samajh gaye honge ki body language kya hota hai .
Body language ke baare main to maine bata diya ab mai aapko ye batata hun ki body language ko accha kaise rakhe sabse pehle jab bhi aap kisi se baat kare to try kare baat karte time aap apni body ko jyada move na kare shanti se baat kare, jab bhi dance kare to aisa dance kare jo aapki personality ko suit karta ho etc so friends situation ke according hi aap koi kaam kare.
Be Politeful
Ye sabse important point hai kisi ko impress karne mein ki aap kisi se baat kaise karte ho kyunki aapke baat karne ka tarika hi kisi ko sabse jyada impress karta hai.Humesha yah koshish kare ki agar aap kisi se baat kar rahe hai to politely hi baat kare bina kisi vajah uchi voice mein na baat kare agar koi bahut badi problem mein hai aur wo tab bhi politely baat karta hai to waha par uska impression sabse accha hoga aur koi bhi impressed ho sakta hai
Don't Talk excessively
Ye ek bad point jo humari personality ke saath saath humare impression ko bhi kharab karta hai wo hai jaroorat se jyada bolna ye baat humesha dhyan rakhe ki jaha par jitna bolna hai waha pa keval utna hi bole aur apne bolne par control rakhe kyunki aap kuch aisa na bol de jo kisi ko accha na lage to waha par aapka impression kharaab lagta hai aur personality bhi acchi nahi lagti hai isiliye situation ke according hi bole jisse na hi aapka impression kharab ho aur na hi aap ki baat galat ho.
0 Comments
If you have any doubts, Please let me know