tips for speed up android mobile


Hello friends  aaj ki duniya mein sayad hi aisa koi hoga jise ye nahi pata hoga ki smartphone kya hota hai ya shayad use bhi nahi kiya ho nahi to har kisi ke paas ek smartphone jaroor milta hai mostly smartphone users android ka hi use karte hai kyunki ye operate karne mein kaafi easy hota hai aur iske functions ko bhi aap jaldi samajh sakte hai android apne bahut se versions market mein launch kar chuka hai jaise mai aapko recently ke kuch examples bata deta hun jisse aapko samajhne mein aasani ho jaaye _

       ➥ Android kitkat
                                        ➥ Android lolipop
                                                                           ➥ Android Marshmallow
                                                                                                                        ➥ Android nougat

ye hai kuch examples android ke but mai baat kar raha tha iske use ki aaj ke time mein har kisi ke paas ek smartphone to jaroor hota hai bhale hi kuch bhi ho jaaye ya short mein ye kehna bilkul sahi hoga ki aaj ke time mein Android mobile lagbhag har kisi ke life ka ek important part ban chuka hai.Ye reality hai ki kuch persons aise bhi hai jo apne smartphone  ke bina apne aap ko aadha adhura samjhte hai ya uske bina reh hi nahi sakte hai.
                   Android smartphone ke user continuously badhte hi ja rahe hai user badhne ka first reason ye hai ki jaise jaise technology badhti chali ja rah hai vaise vaise sabhi ka interest badhta chala ja raha hai ya ise aise bhi keh sakte hai ki sabhi log yahi chahte hai ki wo bhi technology ke use mein wo piche na rah jaaye aur second reason ye hai ki aaj ki age mein har koi yahi chahta hai ki wo sabse aage rahe chahe wo koi si bhi field ho.Lekin ye baat acchi hai ki log dheere dheere apne interest  ko badha rahe hai  jo ki humari aane wali generation ke liye bahut hi beneficial hoga aur saath hi humari society ke liye bhi bahut beneficial hoga.
                                                                                                                                                 Android agar humare liye beneficial hai to dusri side kaafi harmful hai pehle mai android ke benefits ke baare mein batata hun  android ke through hum bahut se difficult work ko bhi easy way se kar sakte hai jaise koi bill payment karne ke liye hume line mein khada hona padta tha but android smartphones ke through hum bill bahut easy way se pay kar sakte hai ye ho gaya benefit android ke benefits to bahut hai but saare mai mention nahi kar sakta hun ab mai iske loss ke baare mein baat karta hun agar kisi ne aapke android ko hack kar liya hai to wo aapke personal information ko leak kar sakta hai.
                                                                                                   But tense hone ki jaroorat nahi hai kyunki agar jaha par acchi properties hoti hai waha par bad properties apne aap hi aa jati hai aur unko aasani se destroy kara ja sakta hai.Ab mai ek aisi common problem ke baare mein bataunga jisse bahut log pareshaan hai wo hai ki android phone ka slow hona. log smartphone le to lete hai but unko thik se use nahi karte hai jisse unke smartphone ki speed slow hone ke saath saath life bhi kam ho jaati hai.Mai aapko kuch aise tips dunga jisse Aapki problem khatam ho sakti hai.

Android mobile apne interest ke according Buy kare

Jab bhi hum kabhi smartphone buy karte hai to bahut se logo se puchte hai ki kaisa smartphone khareede aur decide hi nahi kar paate hai ki kya kare aur dusro ke according smartphone khareed lete hai aur baad mein puchtaate hai ki mujhe apne according hi phone buy karna chahiye tha.isiliye mai aapko ye suggestion dena chahta hun ki jab bhi aap smartphone buy kare to keval apne according hi khareede kyunki aap jo specification chahte hai wo keval aaapko hi pata  hota hai aur uske hi hishab se apna phone buy kare jisse aapko koi pareshani na ho.

Android mobile ko uski limitation ke according use kare

Ye baat bahut important hai ki agar hum kisi machine ka use karte hai to hum uski limitations ke according hi use karte hai kyunki agar hum uski limitation ko cross karienge to machine utna accha result nahi degi jitna pehle de rahi hogi kyunki jab machine able hi nahi hai utna work karne mein to wo kaise kar sakti hai.ye to maine aapko ek example diya hai ab mai aapko android ke baare mein baat karta hun.
                                                                                                                  Agar hum android phone ko uske features ke according use karte hai to thik hai but agar hum uske features se jyada uspar work karte hai to ye to general hai ki wo acche se work nahi karega.so friends kabhi bhi android phone ka use uski ability ke according kare to aapki phonelife increase ho jayegi.

Android mobile ke features ke according apps ka use kare

Dosto mai aapko batana chahta hun ki ye jaroori nahi hai ki aapke android  smartphone mein sabhi aaps support kare iska main reason ye hai ki kuch aaps aapke phone ke liye useful nahi hote hai kyunki wo aaps  aapke phone se jyada features waale phone ke liye banaye jaate hai isiliye jab bhi aap koi bhi aap ko download kare to pehle hi aaps ke instuctions mein jakar dekh le ki wo aapke andoid version ko support kar rahi hai ya nahi kisi bhi aap ko jabardasti download na kare.

ANDROID KI BATTERY LIFE BADHANE KE TARIKE

Bahut se logo ki ye problem hoti hai ki unki android phone ki battery jyada time tak nahi chalti hai.charge karne ke kuch time mein hi khatam ho jaati hai.mai aapko batata hun ki battery life ko kaise badhaye aajkal jiske paas android phone hai usme wo net jaroor surf karta hai  ye to sabhi ki need hai isse bhi battery khatam ho jaati hai but iske alawa mai aapko kuch other points batata hun_

➥ Apne android phone ki brightness ko kam rakhe
➥ Useless apps ko uninstall kar de
➥ Aise aaps ko install na kare jo jyada battery use karte hai
➥ Kisi bhi launcher ka use na kare wo battery ka use jyada karte hai

battery badhane ke kuch tarike maine isliye bataye hai jisse aap apne phone ki battery ko increase kar sake mera ye batane ka main reason ye hai ki agar aapke phone ki battery ki jaldi khatam ho jaati hai to aapko apne phone jyada charge karna padega aur jo aapke android phone ke liye sahi nahi hoga.

Trusted Sites par visit kare

Jab kabhi aap net surf kar rahe hai to humesha yahi try kare ki aap kisi bhi malicious site par visit na kare usse aapke phone mein virus aa sakte hai malicious ka mean hota hai virus aur aapko kaafi harm pahuch sakta hai isiliye aisi site par visit kare jo kaafi believable ho.